Arman Ko Chhupane Se Musibat Mein Hai Jaan Aur

arman ko chhupane se musibat mein hai jaan aur

shoale ko dabaate hain to uThta hai dhuan aur

inkar kiye jao isi taur se han aur

honTon pe hai kuchh aur nigahon se ayan aur

KHud tu ne baDhai hai ye tafriq-e-jahan aur

tu ek magar rup yahan aur wahan aur

dil mein koi ghuncha kabhi khilte nahin dekha

is bagh mein kya aa ke bana legi KHizan aur

itna bhi mere ahd-e-wafa par na karo shak

han han main samajhta hun ki hai rasm-e-jahan aur

har lab pe tera nam hai ek main hun ki chup hun

duniya ki zaban aur hai aashiq ki zaban aur

ab koi sada meri sada par nahin deta

aawaz-e-tarab aur thi aawaz-e-fughan aur

kuchh dur pe milti hain haden arz-o-sama ki

sahra-e-talab mein nahin manzil ka nishan aur

ek aah aur ek ashk pe hai qissa-e-dil KHatm

rakhti nahin alfaz-e-mohabbat ki zaban aur

wo subh ke tare ki jhapakne si lagi aankh

kuchh der zara dida-e-anjum-nigaran aur

'mulla' wahi tum aur wahi ku-e-hasinan

jaise kabhi duniya mein na tha koi jawan aur

(699) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Arman Ko Chhupane Se Musibat Mein Hai Jaan Aur In English By Famous Poet Anand Narayan Mulla. Arman Ko Chhupane Se Musibat Mein Hai Jaan Aur is written by Anand Narayan Mulla. Read famous Poem Arman Ko Chhupane Se Musibat Mein Hai Jaan Aur for youth and Student by Anand Narayan Mulla. Free Download Arman Ko Chhupane Se Musibat Mein Hai Jaan Aur in PDF.