Ilm-o-jah-o-zor-o-zar Kuchh Bhi Na Dekha Jae Hai

ilm-o-jah-o-zor-o-zar kuchh bhi na dekha jae hai

bazm-e-saqi mein dilon ka zarf jaancha jae hai

koshishen hain dasht khinch aae gulistan ki taraf

aur gulistan hai ki su-e-dasht khinchta jae hai

chashm-e-tar ek rah gai hai yaadgar-e-ahd-e-ishq

gahe gahe ye meri raaton ko chamka jae hai

ho chuke hain KHushk sab ehsas ke sote magar

qalb-e-shair hai jo thoDi si nami pa jae hai

bol miThe pyar ke honTon mein yun phanste hain aaj

tifl jaise ghar ke an-jaanon mein sharma jae hai

kuchh na kuchh nanhe se har tare ki lau deti hai aaj

go ba-zahir us pe shab ki tirgi chha jae hai

is taraf amn-o-baqa aur us taraf jang-o-fana

dekhiye ye karwan kis samt 'mulla' jae hai

(733) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ilm-o-jah-o-zor-o-zar Kuchh Bhi Na Dekha Jae Hai In English By Famous Poet Anand Narayan Mulla. Ilm-o-jah-o-zor-o-zar Kuchh Bhi Na Dekha Jae Hai is written by Anand Narayan Mulla. Read famous Poem Ilm-o-jah-o-zor-o-zar Kuchh Bhi Na Dekha Jae Hai for youth and Student by Anand Narayan Mulla. Free Download Ilm-o-jah-o-zor-o-zar Kuchh Bhi Na Dekha Jae Hai in PDF.