Jab Dil Mein Zara Bhi Aas Na Ho Izhaar-e-tamanna Kaun Kare

jab dil mein zara bhi aas na ho izhaar-e-tamanna kaun kare

arman kiye dil hi mein fana arman ko ruswa kaun kare

KHali hai mera saghar to rahe saqi ko ishaara kaun kare

KHuddari-e-sail bhi to hai kuchh har bar taqaza kaun kare

jab apna dil KHud le Dube auron pe sahaara kaun kare

kashti pe bharosa jab na raha tinkon pe bharosa kaun kare

aadab-e-mohabbat mein bhi ajab do dil milne ko raazi hain

lekin ye takalluf hail hai pahla wo ishaara kaun kare

dil teri jafa se TuT chuka ab chashm-e-karam aai bhi to kya

phir le ke isi TuTe dil ko ummid dobara kaun kare

jab dil tha shagufta gul ki tarah Tahni kanTa si chubhti thi

ab ek fasurda dil le kar gulshan ki tamanna kaun kare

basne do nasheman ko apne phir hum bhi karenge sair-e-chaman

jab tak ki nasheman ujDa hai phulon ka nazara kaun kare

ek dard hai apne dil mein bhi hum chup hain duniya na-waqif

auron ki tarah dohra dohra kar us ko fasana kaun kare

kashti maujon mein Dali hai marna hai yahin jina hai yahin

ab tufanon se ghabra kar sahil ka irada kaun kare

'mulla' ka gala tak baiTh gaya bahri duniya ne kuchh na suna

jab sunne wala ho aisa rah rah ke pukara kaun kare

(837) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Dil Mein Zara Bhi Aas Na Ho Izhaar-e-tamanna Kaun Kare In English By Famous Poet Anand Narayan Mulla. Jab Dil Mein Zara Bhi Aas Na Ho Izhaar-e-tamanna Kaun Kare is written by Anand Narayan Mulla. Read famous Poem Jab Dil Mein Zara Bhi Aas Na Ho Izhaar-e-tamanna Kaun Kare for youth and Student by Anand Narayan Mulla. Free Download Jab Dil Mein Zara Bhi Aas Na Ho Izhaar-e-tamanna Kaun Kare in PDF.