Koi Ada-shanas-e-mohabbat Hamein Batae

koi ada-shanas-e-mohabbat hamein batae

jo hum ko bhul jae wo kyun hum ko yaad aae

kis ki majal thi ki hijab-e-nazar uThae

wo muskura ke aap hi dil ke qarib aae

ek dil-nashin nigah mein allah ye KHalish

nashtar ki nok jaise kaleje mein TuT jae

kuchh hum se be-KHudi mein huin be-hijabiyan

chashmak-zani sitaron ne ki phul muskurae

nadan sahi par itne bhi nadan nahin hain hum

KHud hum ne jaan jaan ke kitne fareb khae

wo jaan-e-arzu ki hai sarmaya-e-nashat

kyun us ki yaad gham ki ghaTa ban ke dil pe chhae

kahte the tum se chhuT ke kyunkar jiyenge hum

jite hain tum se chhuT ke taqdir jo dikhae

mayusiyon mein dil ka wo aalam dam-e-widaa

bujhte hue charagh ki lau jaise thartharae

tum to hamin ko kahte the ye tum ko kya hua

dekho kanwal ke phulon se shabnam chhalak na jae

ek na-tamam KHwab mukammal na ho saka

aane ko zindagi mein bahut inqalab aae

(1122) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Ada-shanas-e-mohabbat Hamein Batae In English By Famous Poet Andaleeb Shadani. Koi Ada-shanas-e-mohabbat Hamein Batae is written by Andaleeb Shadani. Read famous Poem Koi Ada-shanas-e-mohabbat Hamein Batae for youth and Student by Andaleeb Shadani. Free Download Koi Ada-shanas-e-mohabbat Hamein Batae in PDF.