Is Shahr Ke Log Ajib Se Hain Ab Sab Hi Tumhaare Asir Hue

is shahr ke log ajib se hain ab sab hi tumhaare asir hue

jab jaan pe baraste the patthar us waqt hamin dil-gir hue

kuchh log tumhaari aankhon se karte hain talab hire moti

hum sahra sahra Dub gae ek aan mein jogi faqir hue

tum dard ki lazzat kya jaano kab tum ne chakhe hain zahr-e-subu

hum apne wajud ke shahid hain sangsar hue shamshir hue

ye pahron pahron soch-nagar raaton raaton be-KHwab lahar

phir kaise kaTega dhup-safar jab pir luTi jagir hue

ek umr guzari hai yun hi sayon ke taaqub mein hum ne

Tuk baiTh gae phir chal nikle hans bol liye dil-gir hue

kuchh shahr tumhaara tang bhi tha kuchh tum bhi the kamzor zara

patthar ki nigahon ke Dar se tum apne hi ghar mein asir hue

(653) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Shahr Ke Log Ajib Se Hain Ab Sab Hi Tumhaare Asir Hue In English By Famous Poet Anees Ansari. Is Shahr Ke Log Ajib Se Hain Ab Sab Hi Tumhaare Asir Hue is written by Anees Ansari. Read famous Poem Is Shahr Ke Log Ajib Se Hain Ab Sab Hi Tumhaare Asir Hue for youth and Student by Anees Ansari. Free Download Is Shahr Ke Log Ajib Se Hain Ab Sab Hi Tumhaare Asir Hue in PDF.