Isi Zamin Pe Isi Aasman Mein Rahna Hai

isi zamin pe isi aasman mein rahna hai

tera asir hun tere jahan mein rahna hai

main ek pal teri duniya mein kya qayam karun

ki umr bhar to mujhe raftagan mein rahna hai

mein jaanta hun bahut saKHt dhup hai lekin

safar mein hun to saf-e-rah-rawan mein rahna hai

utar gai hai to sine se mat nikal use

ki mere KHun ko teri sinan mein rahna hai

na mere hath se chhuTna hai mere neze ko

na tere tir ko teri kaman mein rahna hai

khule rahen jo khule hain qafas ke darwaze

wo kab chhuTenge jinhen qaid-e-jaan mein rahna hai

to phir ye zindagi-e-jawedan ka milna kya

jo har nafs nafs-e-raegan mein rahna hai

(665) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Isi Zamin Pe Isi Aasman Mein Rahna Hai In English By Famous Poet Anees Ashfaq. Isi Zamin Pe Isi Aasman Mein Rahna Hai is written by Anees Ashfaq. Read famous Poem Isi Zamin Pe Isi Aasman Mein Rahna Hai for youth and Student by Anees Ashfaq. Free Download Isi Zamin Pe Isi Aasman Mein Rahna Hai in PDF.