Marka Jab ChhiD Gaya To Kya Hua Humse Suno

marka jab chhiD gaya to kya hua hum se suno

kushtagan-e-shahr-e-KHun ka majra hum se suno

kyun shajar sukhe hue hain kyun nahin barg o samar

mausamon ne is chaman mein kya kiya hum se suno

parda-e-sad-rang-hairat KHana-e-nairang mein

kaun hai aaina-andar-aina hum se suno

taq o dar mein kyun charaghon ki lawen KHamosh hain

kya hua wo raushni ka silsila hum se suno

aur ye chashm-e-tamasha band ho jati hai jab

parda-e-dil par nazar aata hai kya hum se suno

kyun nahin hote munajaton ke mani munkashif

ramz ban jata hai kyun harf-e-dua hum se suno

(641) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Marka Jab ChhiD Gaya To Kya Hua Humse Suno In English By Famous Poet Anees Ashfaq. Marka Jab ChhiD Gaya To Kya Hua Humse Suno is written by Anees Ashfaq. Read famous Poem Marka Jab ChhiD Gaya To Kya Hua Humse Suno for youth and Student by Anees Ashfaq. Free Download Marka Jab ChhiD Gaya To Kya Hua Humse Suno in PDF.