KHamoshi Ka Shahr

hawa dhund ke phaile lab chumti hai

kahan zindagi hai?

kahan zindagi ke nishan hain ki tum shahr mein ho

jahan ek hi rup hai jo hamesha rahega

uTho bawle ab tumhein kis tamanna ne manzil ka dhoka diya hai

ki tum sans ki oT mein chup khaDe sochte ho

yahan har nafas be-sada hai

yahan har ghaDi ab sisakti si zanjir

har ek wafa tirgi ka sutun hai

chalo KHwahishen DhunDne

ban-sanwar ke chalo KHwahishen DhunDni hain

nahin to yahi KHamushi bhut ban kar

gharon ke kiwaDon ke pichhe hamesha Daraati rahegi

(943) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHamoshi Ka Shahr In English By Famous Poet Anees Nagi. KHamoshi Ka Shahr is written by Anees Nagi. Read famous Poem KHamoshi Ka Shahr for youth and Student by Anees Nagi. Free Download KHamoshi Ka Shahr in PDF.