Mal-e-duniya Talash Karna Hai

mal-e-duniya talash karna hai

yani rutba talash karna hai

aaj insan ko tapte sahra mein

bahta dariya talash karna hai

to kunwari hai kab se ai duniya

tera rishta talash karna hai

ab charaghon ki lau nahin manzur

yad-e-baiza talash karna hai

dushmani pyar se bhi kuchh achchha

darmiyana talash karna hai

kar chuke sair hum samundar ki

ab kinara talash karna hai

mujh ko phir se kitab-e-mazi mein

tera chehra talash karna hai

'abr' duniya ko chhoD jaane ka

ek bahana talash karna hai

(760) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mal-e-duniya Talash Karna Hai In English By Famous Poet Anis Abr. Mal-e-duniya Talash Karna Hai is written by Anis Abr. Read famous Poem Mal-e-duniya Talash Karna Hai for youth and Student by Anis Abr. Free Download Mal-e-duniya Talash Karna Hai in PDF.