Ai Do-jahan Ke Malik Aala Hai Nam Tera

ai do-jahan ke malik aala hai nam tera

par dil ki bastiyon mein dekha maqam tera

mauquf kab hai jinn-o-ins-o-malaika par

tair bhi nam lete hain subh-o-sham tera

taKHsis neamaton mein abrar ki nahin kuchh

ashrar par bhi har-dam hai lutf-e-am tera

had ho gai ki tere mahbub ki zaban se

hum KHakiyon ko pahuncha yarab payam tera

tu pardar-e-shab hai to KHaliq-e-sahar hai

KHurshid-e-charKH kya hai adna ghulam tera

sab kuchh miTa chuki hun is aarzu pe yarab

ho jae lauh-e-dil par manqush nam tera

(1041) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ai Do-jahan Ke Malik Aala Hai Nam Tera In English By Famous Poet Anisa Begum. Ai Do-jahan Ke Malik Aala Hai Nam Tera is written by Anisa Begum. Read famous Poem Ai Do-jahan Ke Malik Aala Hai Nam Tera for youth and Student by Anisa Begum. Free Download Ai Do-jahan Ke Malik Aala Hai Nam Tera in PDF.