Musalman Ghaur Kar Kyun Aaj Teri

musalman ghaur kar kyun aaj teri

wo pahli aabru baqi nahin hai

masaib ghair ke pesh-e-nazar hain

ragon mein wo lahu baqi nahin hai

ghazab hai bhai ka dushman hai bhai

uKHuwwat ki wo KHu baqi nahin hai

masaib ghair kai pesh-e-nazar hain

KHud apni justuju baqi nahin hai

kiya pairahan-e-din is tarah chaak

ki ab ja-e-rafu baqi nahin hai

anadil kyun na hun dil-gir-o-KHamosh

gulon mein rang-o-bu baqi nahin hai

zabanon par to hai allah allah

dilon mein hae tu baqi nahin hai

(723) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Musalman Ghaur Kar Kyun Aaj Teri In English By Famous Poet Anisa Begum. Musalman Ghaur Kar Kyun Aaj Teri is written by Anisa Begum. Read famous Poem Musalman Ghaur Kar Kyun Aaj Teri for youth and Student by Anisa Begum. Free Download Musalman Ghaur Kar Kyun Aaj Teri in PDF.