Roz AKHbar Mein Chhap Jaane Se Milta Kya Hai

roz aKHbar mein chhap jaane se milta kya hai

apni tashhir ke afsane mein rakkha kya hai

tum ne jis ko gham-e-ayyam kaha hai yaro

wo mere dard ka hissa hai tumhaara kya hai

jhun-jhune de ke mere hath mein koi mujh ko

qaid-e-hasti ki saza de ye tamasha kya hai

kal talak jo meri tarif kiya karta tha

aaj wo bhi mera dushman hai ye qissa kya hai

hum agar Dub bhi jaen to ubhar sakte hain

hum ko malum hai jine ka saliqa kya hai

hum ne saughat samajh kar to use apnaya

ab ye kyun sochen ki is gham ka mudawa kya hai

yun to sab log tumhein jaante honge 'anjum'

aur koi bhi na jaane to bigaDta kya hai

(968) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Roz AKHbar Mein Chhap Jaane Se Milta Kya Hai In English By Famous Poet Anjum Abbasi. Roz AKHbar Mein Chhap Jaane Se Milta Kya Hai is written by Anjum Abbasi. Read famous Poem Roz AKHbar Mein Chhap Jaane Se Milta Kya Hai for youth and Student by Anjum Abbasi. Free Download Roz AKHbar Mein Chhap Jaane Se Milta Kya Hai in PDF.