Isne Dekha Hai Sar-e-bazm Sitamgar Ki Tarah

is ne dekha hai sar-e-bazm sitamgar ki tarah

phul phenka bhi meri samt to patthar ki tarah

us ke lab ko mere lab rah gae chhute chhute

main bhi nakaam chala aaya sikandar ki tarah

rang suraj ka sar-e-sham hua jata hai zard

us ka bhi ghar na ho viran mere ghar ki tarah

dard us ahd ki miras hai Darna kaisa

dard ko oDh liya karte hain chadar ki tarah

log har lamha badalte hain nazariye apne

zehn-e-insan bhi tawaif ke hai bistar ki tarah

ab ki yurish mein kahin gir hi na jae ye fasil

shor rahta hai mere dil mein samundar ki tarah

kaisa is ahd mein paiman-e-wafa log ab to

dost har sal badalte hain calender ki tarah

lafz aate hi mere lab pe laraz jate hain

haal-e-dil sunte hain ab wo kisi afsar ki tarah

wahi pabandi-e-auqat wahi mamulat

zindagi ghar mein basar hoti hai daftar ki tarah

ho gaya KHak-nashin par ye jhukae na jhuka

kisi sar mein bhi na sauda ho mere sar ki tarah

'anjum' is ahd mein TuTe hue dil ke rishte

joDne par bhi hain udhDe hue collar ki tarah

(786) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Isne Dekha Hai Sar-e-bazm Sitamgar Ki Tarah In English By Famous Poet Anjum Irfani. Isne Dekha Hai Sar-e-bazm Sitamgar Ki Tarah is written by Anjum Irfani. Read famous Poem Isne Dekha Hai Sar-e-bazm Sitamgar Ki Tarah for youth and Student by Anjum Irfani. Free Download Isne Dekha Hai Sar-e-bazm Sitamgar Ki Tarah in PDF.