KHud-kushi Ka Alamiya

motor ke pahiye bijli ke khambe pe chand chhinTe kuchh

chikni saDak pe dur tak ek surKH si lakir

footpath pe kuchh ja-ba-ja dhabbe siyah o surKH

nali ke gadle pani ke sine pe chand dagh

baundary-wall par bhi kuchh spot khurdure

chehron pe rahgiron ke na-KHush-gawar naqsh

mahaul mein ek lamha ko be-nam sa tanaw

aankhen meri ubal paDin hairan rah gaya

goya ki aaj tak ka kiya raegan gaya

dariya agar nahin to rawan ju-e-KHun sahi

(742) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHud-kushi Ka Alamiya In English By Famous Poet Anjum Irfani. KHud-kushi Ka Alamiya is written by Anjum Irfani. Read famous Poem KHud-kushi Ka Alamiya for youth and Student by Anjum Irfani. Free Download KHud-kushi Ka Alamiya in PDF.