Jahan Sinon Mein Dil Shanon Pe Sar Aabaad Hote Hain

jahan sinon mein dil shanon pe sar aabaad hote hain

wahi do-chaar to basti mein ghar aabaad hote hain

bahut sabit-qadam niklen gae waqton ki tahziben

ki ab un ke hawalon se khanDar aabaad hote hain

buzurgon ko tabarruk ki tarah rakkho makanon mein

balaen rad kiye jaane se ghar aabaad hote hain

zaban-bandi ke mausam mein gali-kuchon ki mat puchho

parindon ke chahakne se shajar aabaad hote hain

jo patthar ki silon ko taj-mahalon mein badal Dalen

yahan kachche gharon mein wo hunar aabaad hote hain

mere andoh mein muzmar hai us ki sarKHushi aise

Dubo kar kashtiyan jaise bhanwar aabaad hote hain

meri tamir behtar shakl mein hone ko hai 'anjum'

ki jangal saf hone se nagar aabaad hote hain

(631) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jahan Sinon Mein Dil Shanon Pe Sar Aabaad Hote Hain In English By Famous Poet Anjum Khaleeq. Jahan Sinon Mein Dil Shanon Pe Sar Aabaad Hote Hain is written by Anjum Khaleeq. Read famous Poem Jahan Sinon Mein Dil Shanon Pe Sar Aabaad Hote Hain for youth and Student by Anjum Khaleeq. Free Download Jahan Sinon Mein Dil Shanon Pe Sar Aabaad Hote Hain in PDF.