Kaho Kya Mehrban Na-mehrban Taqdir Hoti Hai

kaho kya mehrban na-mehrban taqdir hoti hai

kaha man ki duaon mein baDi tasir hoti hai

kaho kya baat karti hai kabhi sahra ki KHamoshi

kaha us KHamushi mein bhi to ek taqrir hoti hai

kaha main ne ki ranj-e-be-makani kab satata hai

kaha jab maqbare ya qasr ki tamir hoti hai

kaha main ne hisar-e-zat mein ye nafs ki duniya

jawab aaya ki sab kuchh haar kar tasKHir hoti hai

kaha ye KHwahish-o-targhib aur ye KHun ke rishte

kaha zindaniyon ke panw mein zanjir hoti hai

kaha wo jo sawali aankh ki putli pe likkhi thi

kaha sab se moassir to wahi tahrir hoti hai

kaha ahl-e-KHirad 'anjum' tumhein be-kar kahte hain

kaha sikke ki apne des mein tauqir hoti hai

(757) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaho Kya Mehrban Na-mehrban Taqdir Hoti Hai In English By Famous Poet Anjum Khaleeq. Kaho Kya Mehrban Na-mehrban Taqdir Hoti Hai is written by Anjum Khaleeq. Read famous Poem Kaho Kya Mehrban Na-mehrban Taqdir Hoti Hai for youth and Student by Anjum Khaleeq. Free Download Kaho Kya Mehrban Na-mehrban Taqdir Hoti Hai in PDF.