Tumhaari Poron Ka Lams Ab Tak

main zindagi ki kaDi masafat

tumhaari chahat mile bina bhi mujhe yaqin hai ki kaT lunga

main aise logon ko jaanta hun

jinhon ne apni tamam umren

sarab-sayon ki justuju mein yahi samajh kar guzar di hain

ki chahaton ke ye KHwab-lamhe

ye furqaton ke azab-lamhe

kabhi banenge gulab-lamhe

ye log wo hain ki jin ke yaadon ke canwas par

visal-e-mausam ki ek mubham lakir bhi to nahin bani hai

pa meri yaadon ke hath mein to

tumhaari poron ka lams ab tak gulab ban kar mahak raha hai

mujhe yaqin hai

ki jab bhi chahun

tumhaare be-had hasin hathon ko thamne ka har ek lamha

mere KHayalon ke daere se nikal ke mujh ko

visal-mausam ki KHushbuon mein muhit kar de

mujhe yaqin hai

main zindagi ki ye sab masafat

kaDi masafat

tumhaari yaadon ki KHushbuon mein bhi kaT sakta hun kaT lunga

(2297) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tumhaari Poron Ka Lams Ab Tak In English By Famous Poet Anjum Khaleeq. Tumhaari Poron Ka Lams Ab Tak is written by Anjum Khaleeq. Read famous Poem Tumhaari Poron Ka Lams Ab Tak for youth and Student by Anjum Khaleeq. Free Download Tumhaari Poron Ka Lams Ab Tak in PDF.