Aazar Mere Dil Ka Dil-azar Na Ho Jae

aazar mere dil ka dil-azar na ho jae

jo karb nihan hai wo numudar na ho jae

aawaz bhi deti hai ki uTh jag mere lal

Darti bhi hai bachcha kahin bedar na ho jae

jab tak main pahunchta hun kaDi dhup mein chal kar

diwar ka saya pas-e-diwar na ho jae

parda na sarak jae kahin ai dil-e-betab

wo parda-nashin aur pur-asrar na ho jae

baDhta chala jata hai zamane se talluq

ye silsila zanjir-e-giran-bar na ho jae

aaram se rahta hi nahin banda-e-be-dam

jab tak kisi mushkil mein giraftar na ho jae

(685) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aazar Mere Dil Ka Dil-azar Na Ho Jae In English By Famous Poet Anjum Khayali. Aazar Mere Dil Ka Dil-azar Na Ho Jae is written by Anjum Khayali. Read famous Poem Aazar Mere Dil Ka Dil-azar Na Ho Jae for youth and Student by Anjum Khayali. Free Download Aazar Mere Dil Ka Dil-azar Na Ho Jae in PDF.