Mere Mazar Pe Aa Kar Diye Jalaega

mere mazar pe aa kar diye jalaega

wo mere baad meri zindagi mein aaega

yahan ki baat alag hai jahan-e-digar se

main kaise aaunga mujh ko agar bulaega

mujhe hansi bhi mere haal par nahin aati

wo KHud bhi roega auron ko bhi rulaega

bichhaD ke is ko gae aaj tisra din hai

agar wo aaj na aaya to phir na aaega

faqih-e-shahr ke bare meri rae thi

gunahgar hai patthar nahin uThaega

isi tarah dar-o-diwar tang hote rahe

to koi apne liye ghar nahin banega

hamare baad ye dar-o-rasan nahin honge

hamare baad koi sar nahin uThaega

(762) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Mazar Pe Aa Kar Diye Jalaega In English By Famous Poet Anjum Khayali. Mere Mazar Pe Aa Kar Diye Jalaega is written by Anjum Khayali. Read famous Poem Mere Mazar Pe Aa Kar Diye Jalaega for youth and Student by Anjum Khayali. Free Download Mere Mazar Pe Aa Kar Diye Jalaega in PDF.