Guzar Rahe Hain Guzarne Wale

larazne wale laraz rahe hain

larazte jhonke

guzarte bal khate rengte sarsaraate jhonke

nisai malbus ki tarah sarsarane wale

kaDakne wali ki chabukon se

agarche daur-e-rawan ke aansu Tapak rahe hain

magar nazar jis taraf bhi uThti hai dekhti hai

guzar rahe hain guzarne wale

ye kaun dubka hua is aawara raste mein khaDa hua hai

ki jaise sabun ka koi rangin bulbula ho

zamin ke bachpan mein jo bhi shai thi wo na-shanasa-e-arzu thi

shabab aaya to rengne wali reng uThi

aur aaj ye haal hai ki har shai ye chahti hai

ki ek tufan ban ke girae raston mein

ye kaun dubka hua us aawara raste mein khaDa hua hai

ki jis tarah bahte bahte aawaz ruk ke ye sochne lagi ho

ki ju-e-sahra bahegi kab tak

ye zindagi ek ju-e-sahra hai bah rahi hai

larazne wale laraz rahe hain

magar nazar jis taraf bhi uThti hai dekhti hai

guzar rahe hain guzarne wale

(771) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Guzar Rahe Hain Guzarne Wale In English By Famous Poet Anjum Rumani. Guzar Rahe Hain Guzarne Wale is written by Anjum Rumani. Read famous Poem Guzar Rahe Hain Guzarne Wale for youth and Student by Anjum Rumani. Free Download Guzar Rahe Hain Guzarne Wale in PDF.