An-kahe Lafzon Ka Matlab DhunDhta Rahta Hun Main

an-kahe lafzon ka matlab DhunDhta rahta hun main

kya kaha tha us ne aur kya sochta rahta hun main

yun hi shayad mil sake hone na hone ka suragh

ab musalsal KHud ke andar jhankta rahta hun main

maut ke kale samundar mein ubharte Dubte

barf ke tode ki surat Dolta rahta hun main

in fazaon mein umaDti phailti KHushbu hai wo

in KHalaon mein rawan, ban kar hawa rahta hun main

jism ki do gaz zamin mein dafn kar deta hai wo

kaenati had ki surat phailta rahta hun main

doston se sard-mehri bhi mere bas mein nahin

aur murawwat ki tapish mein ghumta rahta hun main

ek dhamake se na phaT jae kahin mera wajud

apna lawa aap bahar phenkta rahta hun main

chain tha 'KHalid' to ghar ki chaar-diwari mein tha

resturanon mein abas kya DhunDhta rahta hun main

(747) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

An-kahe Lafzon Ka Matlab DhunDhta Rahta Hun Main In English By Famous Poet Anvar Mahmood Khalid. An-kahe Lafzon Ka Matlab DhunDhta Rahta Hun Main is written by Anvar Mahmood Khalid. Read famous Poem An-kahe Lafzon Ka Matlab DhunDhta Rahta Hun Main for youth and Student by Anvar Mahmood Khalid. Free Download An-kahe Lafzon Ka Matlab DhunDhta Rahta Hun Main in PDF.