Jo Ho Saka Na Mera Usko Bhul Jaun Main

jo ho saka na mera us ko bhul jaun main

parai aag mein kyun ungliyan jalaun main

wo ab ke jae to phir lauT kar na aae kabhi

bhulae aise ki phir yaad bhi na aaun main

sukhi rahe wo sada apne ghar ke aangan mein

is ek dua ke liye hath ab uThaun main

nai ruton ke jhamele hon us ka zad-e-safar

shikast-e-arz-e-tamanna pe gungunaun main

uThae naz wahi jis ki wo amanat hai

na ruThe mujh se na ja kar use manaun main

wo roti aankhon kare chaak meri taswiren

ek ek kar ke sabhi us ke KHat jalaun main

uTha ke dekhe wo khiDki ke reshmi parde

to chahne pe bhi us ko nazar na aaun main

hawa ke hath bhi paigham wo agar bheje

KHayal ban ke bhi us ke nagar na jaun main

wo hadsat ki hiddat se jab pighalne lage

to chand ban ke KHunuk dil mein jagmagaun main

(680) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Ho Saka Na Mera Usko Bhul Jaun Main In English By Famous Poet Anvar Mahmood Khalid. Jo Ho Saka Na Mera Usko Bhul Jaun Main is written by Anvar Mahmood Khalid. Read famous Poem Jo Ho Saka Na Mera Usko Bhul Jaun Main for youth and Student by Anvar Mahmood Khalid. Free Download Jo Ho Saka Na Mera Usko Bhul Jaun Main in PDF.