Shahr-dar-shahr Fazaon Mein Dhuan Hai Ab Ke

shahr-dar-shahr fazaon mein dhuan hai ab ke

kis se kahiye ki qayamat ka saman hai ab ke

aankh rakhta hai to phir dekh ye sahme chehre

kan rakhta hai to sun kitni fughan hai ab ke

chand kaliyon ke chaTakne ka nahin nam bahaar

qafila kal ka chala tha to kahan hai ab ke

thi magar itni na thi kor zamane ki nazar

ek qatil pe masiha ka guman hai ab ke

itna sannaTa hai kuchh bolte Dar lagta hai

sans lena bhi dil o jaan pe giran hai ab ke

honT sil jaen to kya aankh to raushan hai meri

chashm-e-KHun-nab ka har ashk rawan hai ab ke

khul ke kuchh kah na sakun chup bhi magar rah na sakun

kis qadar zaiq mein KHalid meri jaan hai ab ke

(653) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shahr-dar-shahr Fazaon Mein Dhuan Hai Ab Ke In English By Famous Poet Anvar Mahmood Khalid. Shahr-dar-shahr Fazaon Mein Dhuan Hai Ab Ke is written by Anvar Mahmood Khalid. Read famous Poem Shahr-dar-shahr Fazaon Mein Dhuan Hai Ab Ke for youth and Student by Anvar Mahmood Khalid. Free Download Shahr-dar-shahr Fazaon Mein Dhuan Hai Ab Ke in PDF.