Chup BaiTha Mein Akasr Sochta Rahta Hun

chup baiTha mein akasr sochta rahta hun

aaKHir main kyun itna tanha tanha hun

pahron jin ki jhil mein khoya rahta tha

un aankhon ki yaad mein Duba rahta hun

tum jo baaten bhul chuke ho muddat se

main to un mein ab bhi uljha rahta hun

tum badlo to badlo apni rah magar

main to ek Dagar par chalta rahta hun

sada-pan kuchh neki hi ka nam nahin

dekhne mein to main bhi sidha-sada hun

tere ghar bhi pahuncha hai ye shor kabhi

ya main hi anjaan sadaen sunta hun

ghar ki diwaron mein yun dil tang na ho

DhunDh mujhe main is ghar ka darwaza hun

jis ne pyar se dekha us ke sath hua

sach puchho to main bhi ab tak bachcha hun

'anjum' main kyun duniya par ilzam rakhun

aankhen hain to phir kyun Thokar khata hun

(1286) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chup BaiTha Mein Akasr Sochta Rahta Hun In English By Famous Poet Anwar Anjum. Chup BaiTha Mein Akasr Sochta Rahta Hun is written by Anwar Anjum. Read famous Poem Chup BaiTha Mein Akasr Sochta Rahta Hun for youth and Student by Anwar Anjum. Free Download Chup BaiTha Mein Akasr Sochta Rahta Hun in PDF.