Hua Kare Agar Usko Koi Gila Hoga

hua kare agar us ko koi gila hoga

zaban khuli hai to phir kuchh to faisla hoga

kabhi kabhi to ye dil mein sawal uThta hai

ki is judai mein kya us ne pa liya hoga

wo garm garm nafas kaise Thahrte honge

ab in shabon ko wo kaise guzarta hoga

kabhi jo guzrun tere shahr se to sochta hun

ki is zamin pe kya kya qadam paDa hoga

KHusha wo raunaq-e-hangama-e-visal ab to

yaqin hi nahin aata ki yun hua hoga

wo khoi khoi wafaon ka bhula-bisra git

kabhi to us ke shabistan mein bhi gaya hoga

nikal paDe the yunhi hum to ek din ghar se

kise KHabar thi ki yun tum se samna hoga

kabhi uThe hi nahin hum talash ko warna

koi to shahr mein apna bhi aashna hoga

ye haul-nak KHamoshi judai ka aashob

main sochta hun ki yunhi raha to kya hoga

kis aarzu mein uThe kis taraf chale 'anjum'

is aadhi raat mein ab kis ka dar khula hoga

(933) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hua Kare Agar Usko Koi Gila Hoga In English By Famous Poet Anwar Anjum. Hua Kare Agar Usko Koi Gila Hoga is written by Anwar Anjum. Read famous Poem Hua Kare Agar Usko Koi Gila Hoga for youth and Student by Anwar Anjum. Free Download Hua Kare Agar Usko Koi Gila Hoga in PDF.