Ye Narm Hath Mare Hath Mein Thama Dije

ye narm hath mare hath mein thama dije

thaka hua hun zara dil ko hausla dije

bas ab mile hain to kije na aas-pas ka KHauf

jo sang-e-rah mile panw se haTa dije

ye aur dur hai aur sab yahan mujhi se hain

wo kohkan ki hikayat ab bhula dije

nahin hai aap ko fursat agar tawajjoh ki

to main bhi lauTta hun ghar ko aagya dije

wafa hai jurm to iqrar-e-jurm hai mujh ko

ye main hun ye mera dil lijiye saza dije

mera wajud bhi hai aap ki jabin ka dagh

ise bhi harf-e-ghalat ki tarah miTa dije

kal aap ne jo chhuDaya to chhuT sakega na hat

jo uljhanen hain mujhe aaj hi bata dije

ye khel khela hai jab pyar ka to phir ai dil

ab apne aap ko bhi danw par laga dije

tamam umr bhaTakti rahi nazar ki kahin

mile koi jise nazrana-e-wafa dije

meri to jumbish-e-lab bhi hai na-KHushi ka sabab

ab aap hi koi tarz-e-bayan sikha dije

wo sahme sahme judai ke muztarib lamhe

meri nigah mein ek bar phir basa dije

gaya nahin hai abhi daur aap ka 'anjum'

jo dil udas ho to phir use sada dije

(1089) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Narm Hath Mare Hath Mein Thama Dije In English By Famous Poet Anwar Anjum. Ye Narm Hath Mare Hath Mein Thama Dije is written by Anwar Anjum. Read famous Poem Ye Narm Hath Mare Hath Mein Thama Dije for youth and Student by Anwar Anjum. Free Download Ye Narm Hath Mare Hath Mein Thama Dije in PDF.