Zulf Ko Abr Ka TukDa Nahin Likhkha Maine

zulf ko abr ka TukDa nahin likhkha main ne

aaj tak koi qasida nahin likhkha main ne

jab muKHatab kiya qatil ko to qatil likhkha

lakhnawi ban ke masiha nahin likhkha main ne

main ne likhkha hai use maryam o sita ki tarah

jism ko us ke ajanta nahin likhkha main ne

kabhi naqqash bataya kabhi meamar kaha

dast-e-fankar ko kasa nahin likhkha main ne

tu mere pas tha ya teri purani yaaden

koi ek sher bhi tanha nahin likhkha main ne

nind TuTi ki ye zalim mujhe mil jati hai

zindagi ko kabhi sapna nahin likhkha main ne

mera har sher haqiqat ki hai zinda taswir

apne ashaar mein qissa nahin likhkha main ne

(1111) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zulf Ko Abr Ka TukDa Nahin Likhkha Maine In English By Famous Poet Anwar Jalalpuri. Zulf Ko Abr Ka TukDa Nahin Likhkha Maine is written by Anwar Jalalpuri. Read famous Poem Zulf Ko Abr Ka TukDa Nahin Likhkha Maine for youth and Student by Anwar Jalalpuri. Free Download Zulf Ko Abr Ka TukDa Nahin Likhkha Maine in PDF.