Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_45a9f153be9f58c0ad165531291eb355, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hum Ko KHulus-e-dil Ka Kisi Ne Sila Diya Hai - Anwar Khalil Poetry In English - Darsaal

Hum Ko KHulus-e-dil Ka Kisi Ne Sila Diya Hai

hum ko KHulus-e-dil ka kisi ne sila diya hai

ek tu ne gham diya hai so wo bhi kya diya hai

shahr-e-nigar-e-dil hai aatish-kade ki surat

mausam ne is baras bhi tohfa baDa diya hai

hum se nihaal-e-gulshan rangin-nafas hue hain

dast-e-saba ko hum ne rang-e-hina diya hai

apnon ki justuju hai apne magar kahan hain

logon ne jaane hum ko kis ka pata diya hai

jaan warte usi par wo qadr-dan jo hota

bas pas tha jo apne wo sab luTa diya hai

aisi hawa mein tanha kyun chhoDte ho us ko

yaro 'KHalil' ab tak jalta hua diya hai

(2209) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Ko KHulus-e-dil Ka Kisi Ne Sila Diya Hai In English By Famous Poet Anwar Khalil. Hum Ko KHulus-e-dil Ka Kisi Ne Sila Diya Hai is written by Anwar Khalil. Read famous Poem Hum Ko KHulus-e-dil Ka Kisi Ne Sila Diya Hai for youth and Student by Anwar Khalil. Free Download Hum Ko KHulus-e-dil Ka Kisi Ne Sila Diya Hai in PDF.