Utri Sham To Barsa Pani Ya Allah

utri sham to barsa pani ya allah

hum jaison ki yahi kahani ya allah

kyun hum pe ilzam hai maula sazish ka

kab the hum dariya tufani ya allah

suraj ki dahliz pe aa kar Thahar gae

andheron ne kya hai Thani ya allah

man mandir mein pyar ki koi gunj nahin

bhej koi mera diwani ya allah

apne lashkar mein jab sirf bahattar the

hum ne tab bhi haar na mani ya allah

(746) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Utri Sham To Barsa Pani Ya Allah In English By Famous Poet Anwar Khan. Utri Sham To Barsa Pani Ya Allah is written by Anwar Khan. Read famous Poem Utri Sham To Barsa Pani Ya Allah for youth and Student by Anwar Khan. Free Download Utri Sham To Barsa Pani Ya Allah in PDF.