Ab Kahan Aur Kisi Chiz Ki Ja Rakkhi Hai

ab kahan aur kisi chiz ki ja rakkhi hai

dil mein ek teri tamanna jo basa rakkhi hai

sar-ba-kaf main bhi hun shamshir-ba-kaf hai tu bhi

tu ne kis din pe ye taqrib uTha rakkhi hai

dil sulagta hai tere sard rawayye se mera

dekh ab barf ne kya aag laga rakkhi hai

aaina dekh zara kya main ghalat kahta hun

tu ne KHud se bhi koi baat chhupa rakkhi hai

jaise tu hukm kare dil mera waise dhaDke

ye ghaDi tere ishaaron se mila rakkhi hai

mutmain mujh se nahin hai jo raiyat meri

ye mera taj rakha hai ye qaba rakkhi hai

gauhar-e-ashk se KHali nahin aankhen 'anwar'

yahi punji to zamane se bacha rakkhi hai

(3540) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Kahan Aur Kisi Chiz Ki Ja Rakkhi Hai In English By Famous Poet Anwar Masood. Ab Kahan Aur Kisi Chiz Ki Ja Rakkhi Hai is written by Anwar Masood. Read famous Poem Ab Kahan Aur Kisi Chiz Ki Ja Rakkhi Hai for youth and Student by Anwar Masood. Free Download Ab Kahan Aur Kisi Chiz Ki Ja Rakkhi Hai in PDF.