Bas Ab Tark-e-talluq Ke Bahut Pahlu Nikalte Hain

bas ab tark-e-talluq ke bahut pahlu nikalte hain

so ab ye tai hua hai shahr se sadhu nikalte hain

hum aa nikle ajab se ek sahra-e-mohabbat mein

shikari ke taaqub mein yahan aahu nikalte hain

ye ek manzar bahut hai umr bhar hairan rahne ko

ki miTTi ke masamon se bhi rang-o-bu nikalte hain

zamir-e-sang tujh ko tera paikar-saz aa pahuncha

abhi aankhen ubharti hain abhi aansu nikalte hain

koi nadir KHazina hai mere dast-e-tasarruf mein

jhapaTne ko dar-o-diwar se bazu nikalte hain

main apne dushmanon ka kis qadar mamnun hun 'anwar'

ki un ke shar se kya kya KHair ke pahlu nikalte hain

(1913) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bas Ab Tark-e-talluq Ke Bahut Pahlu Nikalte Hain In English By Famous Poet Anwar Masood. Bas Ab Tark-e-talluq Ke Bahut Pahlu Nikalte Hain is written by Anwar Masood. Read famous Poem Bas Ab Tark-e-talluq Ke Bahut Pahlu Nikalte Hain for youth and Student by Anwar Masood. Free Download Bas Ab Tark-e-talluq Ke Bahut Pahlu Nikalte Hain in PDF.