Meri Qismat Ki Wo Ab Hain Mere Gham-KHwaron Mein

meri qismat ki wo ab hain mere gham-KHwaron mein

kal jo shamil the tere hashiya-bardaron mein

zahr ijad karo aur ye paiham socho

zindagi hai ki nahin dusre sayyaron mein

kitne aansu hain ki palkon pe nahin aa sakte

kitni KHabren hain jo chhapti nahin aKHbaron mein

ab to dariya ki tabiat bhi hai girdab-pasand

aur wo pahli si sakat bhi nahin patwaron mein

aap ke qasr ki jaanib koi dekhe tauba

jurm sabit ho to chun dijiye diwaron mein

aaj tahzib ke tewar bhi hain caron jaise

dafan ho jae na kal apne hi ambaron mein

apni aawaz ko bhi kan taraste hain mere

jins-e-guftar liye phirta hun bazaron mein

tohmaten hazrat-e-insan pe na dhariye 'anwar'

dushmani hai ki chali aati hai talwaron mein

(2135) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Qismat Ki Wo Ab Hain Mere Gham-KHwaron Mein In English By Famous Poet Anwar Masood. Meri Qismat Ki Wo Ab Hain Mere Gham-KHwaron Mein is written by Anwar Masood. Read famous Poem Meri Qismat Ki Wo Ab Hain Mere Gham-KHwaron Mein for youth and Student by Anwar Masood. Free Download Meri Qismat Ki Wo Ab Hain Mere Gham-KHwaron Mein in PDF.