Tai Ho Gaya Hai Masala Jab Intisab Ka

tai ho gaya hai masala jab intisab ka

ab ye bhi koi kaam hai likhna kitab ka

khaya hai sair ho ke KHayali polaw aaj

pani phir is ke baad piya hai sarab ka

dekhi hai ek film purani to yun laga

jaise ki koi kaam kiya hai sawab ka

sugar na ho kisi bhi musalman ko ai KHuda

mushkil sa ek sawal hai ye bhi hisab ka

'anwar' meri nazar ko ye kis ki nazar lagi

gobhi ka phul mujh ko lage hai gulab ka

(2323) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tai Ho Gaya Hai Masala Jab Intisab Ka In English By Famous Poet Anwar Masood. Tai Ho Gaya Hai Masala Jab Intisab Ka is written by Anwar Masood. Read famous Poem Tai Ho Gaya Hai Masala Jab Intisab Ka for youth and Student by Anwar Masood. Free Download Tai Ho Gaya Hai Masala Jab Intisab Ka in PDF.