Use To Pas-e-KHulus-e-wafa Zara Bhi Nahin

use to pas-e-KHulus-e-wafa zara bhi nahin

magar ye aas ka rishta ki TuTta bhi nahin

ghire hue hain KHamoshi ki barf mein kab se

kisi ke pas koi tesha-e-sada bhi nahin

maal-e-ghunch-o-gul hai meri nigahon mein

mujhe tabassum-e-kazib ka hausla bhi nahin

tulu-e-subh-e-azal se main DhunDhta tha jise

mila to hai pa meri samt dekhta bhi nahin

meri sada se bhi raftar tez thi us ki

mujhe gila bhi nahin hai jo wo ruka bhi nahin

bikhar gai hai nigahon ki raushni warna

nazar na aae wo itna to fasla bhi nahin

suna hai aaj ka mauzu-e-majlis-e-tanqid

wo sher hai ki abhi main ne jo kaha bhi nahin

simaT rahe hain sitaron ke fasle 'anwar'

paDosiyon ko magar koi jaanta bhi nahin

(2789) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Use To Pas-e-KHulus-e-wafa Zara Bhi Nahin In English By Famous Poet Anwar Masood. Use To Pas-e-KHulus-e-wafa Zara Bhi Nahin is written by Anwar Masood. Read famous Poem Use To Pas-e-KHulus-e-wafa Zara Bhi Nahin for youth and Student by Anwar Masood. Free Download Use To Pas-e-KHulus-e-wafa Zara Bhi Nahin in PDF.