Meri Pahli Nazm

kya bachche suljhe hote hain

jab gend se uljhe hote hain

wo is liye mujh ko bhate hain

din bite yaad dilate hain

wo kitne hasin basere the

jab dur ghamon se Dere the

jo khel mein hail hota tha

nafrin ke qabil hota tha

har ek se ulajh kar rah jaana

ruk ruk ke bahut kuchh kah jaana

hans dena baaton baaton par

barsat ki kali raaton par

baadal ki subuk-raftari par

bulbul ki aah-o-zari par

aur shama ki lau ki garmi par

parwanon ki haT-dharmi par

duniya ke dhande kya jaanen

aazad ye phande kya jaanen

masum faza mein rahte the

hum to ye samajh hi baiThe the

KHushiyon ka alam anjam nahin

duniya mein KHizan ka nam nahin

mahaul ne khaya phir palTa

nagah taghayyur aa jhapTa

aur us ki karam-farmai se

haalat ki ek angDai se

aa pahunche aise beDon mein

jo le gae hamein thapeDon mein

bachpan ke suhane sae the

sae mein zara sustae the

wo daur-e-muqaddas bit gaya

ye waqt hi bazi jit gaya

ab waise mere haalat nahin

wo chiz nahin wo baat nahin

jine ka safar ab dubhar hai

har gam pe sau sau Thokar hai

wo dil jo ruh-e-qarina tha

aashaon ka ek KHazina tha

is dil mein nihan ab nale hain

taron se ziyaada chhaale hain

jo hansna hansana hota hai

rone ko chhupana hota hai

koi ghuncha dil mein khilta hai

thoDa sa sukun jab milta hai

gham tez qadam phir bharta hai

KHushiyon ka taaqub karta hai

main sochta rahta hun yunhi

aaKHir ye tafawut kya mani

ye soch ajab taDpati hai

aaankhon mein nami bhar jati hai

phir mujh se dil ye kahta hai

mazi ko tu rota rahta hai

kuchh aahen dabi si rahne de

kuchh aansu baqi rahne de

ye haal bhi mazi hona hai

is par bhi tujhe kuchh rona hai

(2567) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Pahli Nazm In English By Famous Poet Anwar Masood. Meri Pahli Nazm is written by Anwar Masood. Read famous Poem Meri Pahli Nazm for youth and Student by Anwar Masood. Free Download Meri Pahli Nazm in PDF.