Sher-o-suKHan Ki Us Mahfil Mein Sab Se ChhoTe Hum Hi The

sher-o-suKHan ki us mahfil mein sab se chhoTe hum hi the

sab se unche mansab wale khoTe sikke hum hi the

yaad hamein hai tum bhi socho waqt paDa jab urdu par

sab the uljhi bhasha wale urdu wale hum hi the

daulat shohrat hikmat wale sab hain tere dam ke sath

duniya teri sari raunaq chhoD ke baiThe hum hi the

TuT chuke sab rishte nate aage pichhe rahen thin

tera ban ke rahne wale mare-bandhe hum hi the

duniya hum se leti kya aur hum duniya ko dete kya

sab the sidhe-sade buzdil aaDe-tirchhe hum hi the

hum the apne aage pichhe aur nazar mein koi na tha

aisa surma 'anwar' apni aankh mein Dale hum hi the

(895) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sher-o-suKHan Ki Us Mahfil Mein Sab Se ChhoTe Hum Hi The In English By Famous Poet Anwar Nadim. Sher-o-suKHan Ki Us Mahfil Mein Sab Se ChhoTe Hum Hi The is written by Anwar Nadim. Read famous Poem Sher-o-suKHan Ki Us Mahfil Mein Sab Se ChhoTe Hum Hi The for youth and Student by Anwar Nadim. Free Download Sher-o-suKHan Ki Us Mahfil Mein Sab Se ChhoTe Hum Hi The in PDF.