Kahin Aur Hi Chalna Hoga

mere giton mein mohabbat ne jalae hain charagh

aur yahan zulmat-e-zardar ke ghere hain tamam

sab ke honTon pe hawasnak umidon ki baraat

koi leta nahin ulfat bhare giton ka salam

ai mere git! kahin aur hi chalna hoga

tujh ko malum nahin aadam o hawwa ki zamin

apne nasur ko parde mein chhupane ke liye

gul kiye deti hai afkar ke masum charagh

har nafas apne gareban pe rakhti hai nazar

jis mein ek tar bhi baqi nahin parde ke liye

ai mere git! kahin aur hi chalna hoga

aa kahin aur kisi desh ko DhunDen chal kar

ho jahan bhuk na afkar ke pardon pe muhit

waqt Dale na jahan qaid mein fikron ka jamal

pyar ke bol ko apnae jahan sari zamin

aa usi desh mein phailaun tere pyar ka nur

ai mere git! kahin aur hi chalna hoga

ye bhi mumkin hai ki jholi mein amal ki ek roz

yas ki KHak ho aur dur ho apni manzil

aarzuon ka koi desh na mil pae agar

mere sine mein utar ja ki yahan koi nahin

jo tere nur ko paigham ko samjhe aa kar

ai mere git kahin aur hi chalna hoga

(1060) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahin Aur Hi Chalna Hoga In English By Famous Poet Anwar Nadim. Kahin Aur Hi Chalna Hoga is written by Anwar Nadim. Read famous Poem Kahin Aur Hi Chalna Hoga for youth and Student by Anwar Nadim. Free Download Kahin Aur Hi Chalna Hoga in PDF.