Ata-e-gham Pe Bhi KHush Hun Meri KHushi Kya Hai

ata-e-gham pe bhi KHush hun meri KHushi kya hai

raza talab jo nahin hai wo bandagi kya hai

teri nigah ki naqqashi-e-hasin ke siwa

tu hi bata mera mafhum-e-zindagi kya hai

sitam-shiar jafa-ashna wafa-dushman

ye nang-e-azmat-e-adam hai aadmi kya hai

tera tasawwur-e-rangin agar na ho shamil

bahaar-e-gulshan-e-imkan mein dilkashi kya hai

zamana aap ka kahta hai jis ko aks-e-jamil

nazar uTha ke to dekho ye chandni kya hai

tamam umr qafas mein guzar di hum ne

KHabar nahin ki nasheman ki zindagi kya hai

(869) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ata-e-gham Pe Bhi KHush Hun Meri KHushi Kya Hai In English By Famous Poet Anwar Sabri. Ata-e-gham Pe Bhi KHush Hun Meri KHushi Kya Hai is written by Anwar Sabri. Read famous Poem Ata-e-gham Pe Bhi KHush Hun Meri KHushi Kya Hai for youth and Student by Anwar Sabri. Free Download Ata-e-gham Pe Bhi KHush Hun Meri KHushi Kya Hai in PDF.