Unki Mahfil Mein Hamesha Se Yahi Dekha Riwaj

un ki mahfil mein hamesha se yahi dekha riwaj

aankh se bimar karte hain tabassum se ilaj

main jo roya un ki aankhon mein bhi aansu aa gae

husn ki fitrat mein shamil hai mohabbat ka mizaj

meri KHatir KHud uThate hain wo taklif-e-karam

kaun rakhta warna mujh jaise gunahgaron ki laj

mere hone aur na hone par hi kya mauquf hai

maut par un ki hukumat zindagi par un ka raj

uf wo aariz jis ke jalwon par fida mehr-e-mubin

aah wo lab jin ko dete hain mah o anjum KHiraj

main hun 'anwar' un ki zat-e-pak ka adna ghulam

hai sar-e-aqdas pe jin ke rahmat-e-yazdan ka taj

(937) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Unki Mahfil Mein Hamesha Se Yahi Dekha Riwaj In English By Famous Poet Anwar Sabri. Unki Mahfil Mein Hamesha Se Yahi Dekha Riwaj is written by Anwar Sabri. Read famous Poem Unki Mahfil Mein Hamesha Se Yahi Dekha Riwaj for youth and Student by Anwar Sabri. Free Download Unki Mahfil Mein Hamesha Se Yahi Dekha Riwaj in PDF.