Mausam Sard Hawaon Ka

mausam sard hawaon ka

mere ghar se nikla tha

chup tari thi duniya par

ek faqat main roya tha

wo jo dil mein tufan tha

qatra qatra barsa tha

dukh ke taq pe sham Dhale

kis ne diya jalaya tha

ab ke mausam barkha ka

burqa pahan ke nikla tha

saThwin sal ke aane par

pahli bar main hansa tha

aag lagi thi dariya mein

lekin sahil chup sa tha

(838) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mausam Sard Hawaon Ka In English By Famous Poet Anwar Sadeed. Mausam Sard Hawaon Ka is written by Anwar Sadeed. Read famous Poem Mausam Sard Hawaon Ka for youth and Student by Anwar Sadeed. Free Download Mausam Sard Hawaon Ka in PDF.