Zor Se Aandhi Chali To Bujh Gae Sare Charagh

zor se aandhi chali to bujh gae sare charagh

gum hue jate hain tariki mein manzar aur main

hath se bachchon ke nikle meri jholi mein gire

ban gae hain dost ye bachchon ke patthar aur main

par nahin lekin mayassar taqat-e-parwaz hai

dekhiye uDte fazaon mein kabutar aur main

ab tamaniyyat bahut mahsus hoti hai mujhe

ho gaya hai ham-suKHan nila samundar aur main

kaise kaise KHub-ru chehre the sab ke samne

mahw-e-hairat ho gaya hai sara daftar aur main

koi bhi pechidgi hael nahin anwar-'sadid'

zindagi hai samne manzar-ba-manzar aur main

(1109) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zor Se Aandhi Chali To Bujh Gae Sare Charagh In English By Famous Poet Anwar Sadeed. Zor Se Aandhi Chali To Bujh Gae Sare Charagh is written by Anwar Sadeed. Read famous Poem Zor Se Aandhi Chali To Bujh Gae Sare Charagh for youth and Student by Anwar Sadeed. Free Download Zor Se Aandhi Chali To Bujh Gae Sare Charagh in PDF.