Aabaad Ab Na Hoga Mai-KHana Zindagi Ka

aabaad ab na hoga mai-KHana zindagi ka

labrez ho chuka hai paimana zindagi ka

aa KHwab mein kisi din ai rashk-e-mah-e-taban

kar de zara munawwar kashana zindagi ka

wo taza dastan hun marne ke baad un ko

aaega yaad mera afsana zindagi ka

parda zara uTha de banki idaron wale

afsana kahne aaya diwana zindagi ka

ummiden miT na jaen nazren na pher zalim

barbaad kar na mera kashana zindagi ka

hai waqt-e-naza zalim baalin pe dekh kar

dam toDta hai kaise diwana zindagi ka

KHun-e-jigar baha kar aankhon se apni 'anwar'

rangin kar raha hun afsana zindagi ka

(752) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aabaad Ab Na Hoga Mai-KHana Zindagi Ka In English By Famous Poet Anwar Saharanpuri. Aabaad Ab Na Hoga Mai-KHana Zindagi Ka is written by Anwar Saharanpuri. Read famous Poem Aabaad Ab Na Hoga Mai-KHana Zindagi Ka for youth and Student by Anwar Saharanpuri. Free Download Aabaad Ab Na Hoga Mai-KHana Zindagi Ka in PDF.