Kyun KHafa Humse Ho KHata Kya Hai

kyun KHafa hum se ho KHata kya hai

ye to farmaiye hua kya hai

husn kya husn ki ada kya hai

us ke jalwon ka dekhna kya hai

ek aalam hai sirf mai-noshi

nigah-e-mast majra kya hai

nichi nazron se kar diya ghayal

ab ye samjhe ki ye haya kya hai

jaan dena hai ain maqsad-e-ishq

un ko andaza-e-wafa kya hai

hum se barham raqib se shadan

kahiye kahiye ye majra kya hai

jin ki hasti hai ek sharar ki misal

aise taron ka Dubna kya hai

aariz-e-yar ke muqabil ho

mahr-e-taban ka hausla kya hai

KHun aashiq hai ya hina ka rang

mere qatil ye zer-e-pa kya hai

KHud hi gum ho ke rah gae 'anwar'

hasil-e-justuju hua kya hai

(818) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kyun KHafa Humse Ho KHata Kya Hai In English By Famous Poet Anwar Saharanpuri. Kyun KHafa Humse Ho KHata Kya Hai is written by Anwar Saharanpuri. Read famous Poem Kyun KHafa Humse Ho KHata Kya Hai for youth and Student by Anwar Saharanpuri. Free Download Kyun KHafa Humse Ho KHata Kya Hai in PDF.