Wo Parde Se Nikal Kar Samne Jab Be-hijab Aaya

wo parde se nikal kar samne jab be-hijab aaya

jahan-e-ishq mein yak-bargi ek inqalab aaya

zamin ke zarre zarre se numayan ho gae jalwe

sar-e-gulzar wo rashk-e-qamar jab be-hijab aaya

mukarrar zindagani ka maza ho jaega hasil

dam-e-aKHir bhi qasid le ke gur KHat ka jawab aaya

muqaddar se mere donon ke donon bewafa nikle

na umr-e-bewafa palTi na phir ja kar shabab aaya

wafur-e-sharm se us aaftab-e-husn ke aage

jahan ka har hasin Dale hue munh par naqab aaya

dil-e-betab-o-taqat ko tasalli kuchh hui hasil

payam us but ke aane ka jo waqt-e-iztirab aaya

ajab pur-kaif aalam hai zamana mast hai 'anwar'

ki un ke chaudhwin man mein nazar rang-e-sharab aaya

(809) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Parde Se Nikal Kar Samne Jab Be-hijab Aaya In English By Famous Poet Anwar Saharanpuri. Wo Parde Se Nikal Kar Samne Jab Be-hijab Aaya is written by Anwar Saharanpuri. Read famous Poem Wo Parde Se Nikal Kar Samne Jab Be-hijab Aaya for youth and Student by Anwar Saharanpuri. Free Download Wo Parde Se Nikal Kar Samne Jab Be-hijab Aaya in PDF.