Farishton Se Bhi Achchha Main Bura Hone Se Pahle Tha

farishton se bhi achchha main bura hone se pahle tha

wo mujh se intihai KHush KHafa hone se pahle tha

kiya karte the baaten zindagi-bhar sath dene ki

magar ye hausla hum mein juda hone se pahle tha

haqiqat se KHayal achchha hai bedari se KHwab achchha

tasawwur mein wo kaisa samna hone se pahle tha

agar madum ko maujud kahne mein tammul hai

to jo kuchh bhi yahan hai aaj kya hone se pahle tha

kisi bichhDe hue ka lauT aana ghair-mumkin hai

mujhe bhi ye guman ek tajraba hone se pahle tha

'shuur' is se hamein kya intiha ke baad kya hoga

bahut hoga to wo jo ibtida hone se pahle tha

(1571) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Farishton Se Bhi Achchha Main Bura Hone Se Pahle Tha In English By Famous Poet Anwar Shuoor. Farishton Se Bhi Achchha Main Bura Hone Se Pahle Tha is written by Anwar Shuoor. Read famous Poem Farishton Se Bhi Achchha Main Bura Hone Se Pahle Tha for youth and Student by Anwar Shuoor. Free Download Farishton Se Bhi Achchha Main Bura Hone Se Pahle Tha in PDF.