Kafi Nahin KHutut Kisi Baat Ke Liye

kafi nahin KHutut kisi baat ke liye

tashrif laiyega mulaqat ke liye

duniya mein kya kisi se kisi ko gharaz nahin

har koi ji raha hai faqat zat ke liye

hum bargah-e-naz mein us be-niyaz ki

paida kiye gae hain shikayat ke liye

hain pattharon ki zad pe tumhaari gali mein hum

kya aae the yahan isi barsat ke liye

apni taraf se kuchh bhi unhon ne nahin kaha

hum ne jawab sirf sawalat ke liye

raushan karo na sham se pahle charagh-e-jam

din ke liye ye chiz hai ya raat ke liye

mahngai rah-e-rast pe le aai khinch kar

bachti nahin raqam buri aadat ke liye

karne ke kaam kyun nahin karte 'shuur' tum

kya zindagi mili hai KHurafat ke liye

(988) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kafi Nahin KHutut Kisi Baat Ke Liye In English By Famous Poet Anwar Shuoor. Kafi Nahin KHutut Kisi Baat Ke Liye is written by Anwar Shuoor. Read famous Poem Kafi Nahin KHutut Kisi Baat Ke Liye for youth and Student by Anwar Shuoor. Free Download Kafi Nahin KHutut Kisi Baat Ke Liye in PDF.