KHatm Har Achchha Bura Ho Jaega

KHatm har achchha bura ho jaega

ek din sab kuchh fana ho jaega

kya pata tha dekhna us ki taraf

hadisa itna baDa ho jaega

muddaton se band darwaza koi

dastaken dene se wa ho jaega

hai abhi tak us ke aane ka yaqin

jaise koi moajiza ho jaega

muskura kar dekh lete ho mujhe

is tarah kya haq ada ho jaega

kash ho jao mere ham-rah tum

warna koi dusra ho jaega

kal ka wada aur is bohran mein?

jaane kal duniya mein kya ho jaega

rang laega shahidon ka lahu

zulm jab had se siwa ho jaega

aap ka kuchh bhi na jaega 'shuur'

hum gharibon ka bhala ho jaega

(744) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHatm Har Achchha Bura Ho Jaega In English By Famous Poet Anwar Shuoor. KHatm Har Achchha Bura Ho Jaega is written by Anwar Shuoor. Read famous Poem KHatm Har Achchha Bura Ho Jaega for youth and Student by Anwar Shuoor. Free Download KHatm Har Achchha Bura Ho Jaega in PDF.