Kuchh Din To Kar Taawun Ai KHush-sifat Mujhse

kuchh din to kar taawun ai KHush-sifat mujh se

tanha na ho sakegi tathir-e-zat mujh se

fariyaad ai samaat insaf ai farasat

karte hain ahl-e-duniya duniya ki baat mujh se

hairan hun ki us tak kis kis jihat se pahunchun

aawargi-talab hain sad-ha jihat mujh se

kyun ai hayat-e-rafta roke hue hai rasta

kya chahti hai aaKHir ai be-sabaat mujh se

yunan ke saKHi to talKHab nazr kar den

pani aziz rakkhen ahl-e-furaat mujh se

gardish mein hain sitare hai koi jo pukare

aa ai gharib-e-kucha le ja zakat mujh se

wa hai daricha-e-dil ek chiKH ban ke dar aa

sargoshiyan kahan tak ai sard raat mujh se

(725) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Din To Kar Taawun Ai KHush-sifat Mujhse In English By Famous Poet Anwar Shuoor. Kuchh Din To Kar Taawun Ai KHush-sifat Mujhse is written by Anwar Shuoor. Read famous Poem Kuchh Din To Kar Taawun Ai KHush-sifat Mujhse for youth and Student by Anwar Shuoor. Free Download Kuchh Din To Kar Taawun Ai KHush-sifat Mujhse in PDF.