Libas Gard Ka Aur Jism Nur Ka Nikla

libas gard ka aur jism nur ka nikla

tamam wahm hi apne shuur ka nikla

jo apne aap se baDh kar hamara apna tha

use qarib se dekha to dur ka nikla

badan ke par utarte hi khul gain aankhen

suragh tere sarapa se tur ka nikla

sabhi nishaniyan us shaKHs par khari utrin

jo bhul kar bhi kabhi zikr hur ka nikla

uThe jo hath meri sangsariyon ke liye

har ek dast-e-inayat huzur ka nikla

na-jaane bhul gaya kaun kab kahan likh kar

miTa sa naqsh main bainassutur ka nikla

jo dana dana fana fasl-e-arzu ka hua

tamam fitna malaKH aur mor ka nikla

giraft-e-fan se na aazad ho saka 'shadab'

KHayal-e-taza karishma bahur ka nikla

(942) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Libas Gard Ka Aur Jism Nur Ka Nikla In English By Famous Poet Aqeel Shadab. Libas Gard Ka Aur Jism Nur Ka Nikla is written by Aqeel Shadab. Read famous Poem Libas Gard Ka Aur Jism Nur Ka Nikla for youth and Student by Aqeel Shadab. Free Download Libas Gard Ka Aur Jism Nur Ka Nikla in PDF.