Mere Zehn-o-dil Mein Fikr-o-fan Mein Tha

mere zehn-o-dil mein fikr-o-fan mein tha

nim ka wo peD jo aangan mein tha

jis pe likkha tha mera nam-o-nasab

qaid main miTTi ke us bartan mein tha

ek wo har dasht mein sairab tha

ek main pyasa har ek sawan mein tha

dekh kar bhi jo na dekha ja saka

aks-ara wo har ek darpan mein tha

kah na paya jaane kyun ek harf bhi

jaane kya us aadmi ke man mein tha

jis ko koi nam de sakta nahin

wo bulawa us parae-pan mein tha

aandhiyan sab kuchh uDa kar le gain

peD par patta na phal daman mein tha

ja-ba-ja qaus-e-quzah ki chhuT thi

ek tilism aabaad pairahan mein tha

chhin kar 'shadab' koi le gaya

ek anokha sukh jo ghar-angan mein tha

(659) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Zehn-o-dil Mein Fikr-o-fan Mein Tha In English By Famous Poet Aqeel Shadab. Mere Zehn-o-dil Mein Fikr-o-fan Mein Tha is written by Aqeel Shadab. Read famous Poem Mere Zehn-o-dil Mein Fikr-o-fan Mein Tha for youth and Student by Aqeel Shadab. Free Download Mere Zehn-o-dil Mein Fikr-o-fan Mein Tha in PDF.